Posts

Showing posts from April 4, 2016

Ki koi diwana kehata hai koi pagal samjhta hai

Ki koi diwana kehata hai koi pagal samjhta hai.. Magar dharti ki bechaini ko bus badal samjhata hai.. Main tujh se dur kaisi hun tu mujhse dur kaisa hai.. yeh tera dil samjhata hai ya mera dil samjhaja hai..

Deewangi humari har raaz khol deti hai

Deewangi humari har raaz khol deti hai, Khamoshi humari har baat bol deti hai, Lekin shikayat hai to sirf is duniya se, Jo dil ke jazbaat bhi paiso se tol deti hai.

Aapki iss dil lagi main hum apna dil kho bethe

Aapki iss dil lagi main hum apna dil kho bethe, Kal tak us khuda ke the aaj hum apke ho bethe, Ishq suna toh tha ki apna deewana bana leta hai, Par aaj khud karke hum bhi apne hosh kho bethe hain.

Koi Na Mita Sakega Dil Ke Is Fasane Ko

Koi Na Mita Sakega Dil Ke Is Fasane Ko, Teri Chaht Me Bhul Jata Hu Zamane Ko, Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye, Teri Deewangi Me Bhul Jate Nazare Jhapkane Ko

Mohabbat mai karne laga hun

Mohabbat mai karne laga hun, Uljhano mai jeene laga hun, Diwana to mai tha nhi lekin, Tera dewana ban-ne laga hun.

Kaha ye kisi ne Ki phoolo se dil lagau main

Kaha ye kisi ne Ki phoolo se dil lagau main… Agar tera khayal na sochu.. To marr jaau main… Maang na mujhse Tu hisaab meri mohabbat ka… Aa jaun imtehaan pe toh.. Hadd se guzar jaau main…!!

Kabhi tum mujhe kareeb se aa kar dekhna

Kabhi tum mujhe kareeb se aa kar dekhna, Aise nahi jara aur paas aa kar dekhna, Main tum se kitna pyaar karta hoon, Mujhe kabhi seene se laga kar dekhna.

Tujhe chahte hain Be-Intehan,Par chahna nahi aata

Tujhe chahte hain Be-Intehan,Par chahna nahi aata. Ye kaisi mohobbat hai,Ki hume kehna nahi aata. Zindagi main aa jao hamari zindagi ban kar, Ke tere bin humain zinda rehna nahi aata. Har pal bas tujhe hi dua’on main mangte hain, Kya kare ke tumhare siwa kuch mangna nahi aata.

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya, Ishq nakam sahi phir bhi bahut kaam aaya, Humne mohabbat mai aisi bhi guzari raatein, Jab tak aansu na bahe dil ko na aaram aya.

Chehre me tere sirf mera hi noor hoga

Chehre me tere sirf mera hi noor hoga, Uske baad phir tu na kabhi mujhse door hoga, Jara soch ke dekh kya khushi milegi, Jis pal teri maang main mere naam ka sindoor hoga.

Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain

Chale bhi aao ki hum tumse pyar karte hain, Ye wo gunah hai jo hum baar-baar karte hain, Log maut tak hi dildaar ki raah takte hain, Hum hai ki kabar mai bhi tera intezaar karte hain.

Maine apni har ek saans tumhari gulaam kar rakhi hai

Maine apni har ek saans  tumhari gulaam kar rakhi hai, Logon mai ye zindagi badnaam kar rakhi hai, Ab ye aaina bhi kya kaam ka mere, Maine to apni parchayi bhi tumhare naam kar rakhi hai.

Jo Tujhe Dekhe Wahi Deewana Bane

Jo Tujhe Dekhe Wahi Deewana Bane, Jo Tujhe Chahe Wahi Mastaana Bane, Teri Bheegi Hui Zulfon Ki Kasam, Tu Jahaan Baal Nichode Wahin Mehkhana Bane.